Mat pukaar mujhe ae pawan,
Ab akelepan se yaari meri ho gayi hai,
Jo khushiya teri halke sard ehsaas se milti thi,
Band kamro mei vo aahat kahi kho gyi hai.
Mera pyar ab mera hi reh gya hai,
Uske liye meri keemat mitti ka mol ho gyi hai
Use meri gair mojudgi ki kuch is tarah aadat ho gyi hai,
Mai kabi tha bhi ya nhi? Meri shaksiyat hi maano kho gyi hai.
Mat pukaar mujhe ae pawan,
Ab akelepan se yaari meri ho gyi hai…
P. S. – Aaj aisa hi mausam hai jisme hum kahi shaam guzara karte they… Aaj shaam vaisi hi hai, par na uska sath hai or na hi meri jarurat use ho aise kuch ehsaas hai…
~ Samar